eng
competition

Text Practice Mode

Deals adda solutions typing centre only 300/- per month Infront of maharaja college, beside of MLB chhatarpur 9685380318,9713670877 By-Neeraj Kushwaha

created Jan 11th 2018, 13:35 by ankitkhare1518897


1


Rating

430 words
8 completed
00:00
most romantic love story in hindi
Mera naam Umesh hai main jab 9th class main tha jab maine hockey ki practice start kari thi. Kuch dino ke baad ek ladki ne bhi hockey khelna shuru kar diya tha. Kuch dino ke baad pata chaa ki ladkiyon mein wo ladki sabse acha khelti hai. Main us samay us ladki ko sirf ek achhi player ke taur par dekhta tha.
  
 
most romantic love story in hindi
Kuch dino baad mera attraction uski taraf badhne laga. Main uski taraf dekhne lag gya tha. Usne mujhe notice kar liya tha. Aisa mere saath bahut dino tak hota raha. Dekhte hi dekhte main Xth class main pahunch gaya aur wo 8 th class mein. Ab vo samajh chuki thi ki main use bahut dekhta hoon. Ek baar usne apni friend se kahakar mujhe samjhane bhej diya. Maine socha ki yaar ye ladki mujhse pyaar nahi karti par phir bhi meri najar usi pe jaake rukti thi. Kai baar to main hockey khelne hi use dekhne jaata tha. Bahut dino tak yeh luka choopi ka khel chalta raha. Phir ek din maine daring se socha ki yaar aaj to keh hi doon. Maine apne friend se kaha ki ja usse keh de ki umesh tujhe pyaar karta hai. Lekin usne reject kar diya. Maine socha ki yaar ab choro ab nahi hoga. Lekin phir bhi main use dekhta tha aur maine notice kiya ki vo bhi mujhe dekhti hain. Meri Xth aise hi nikal gayi. Ab aati hai meei 11th jahan main abhi hoon. 11th ki classes start huyi toh ab captains, prefects aur heads chune jaane tha. Main apne house ka captain banaya gaya, wo bhi mere hi house main thi. Us din jab mujhe batch mil raha tha yoh to main parade karte huye ja raha tha. Maine dekha ki vo mujhe dekh rahi hai. Phir baad mein hamara games ka period tha. Uski friend ne mujhe bulaya aur ek paper slip mujhe di. Usme likha tha ki “anjali tujhse friendship karna chahti hai, accept karta hai ya nahi likh ke de dena mujhe”. Mujhe laga kahin main phans na jaau isliye maine voh parchi phaad di. Uske baad mere paas koi aur message nahi aaya. Phir 15 augustko hone wale patriotic song competition main maine part liya aur usne bhi liya tha. Maine hi apne house ke song ki ek jordaar alaap se shuruaat ki. Phir usne mere friend se kaha ki use mujhse friendship karni hai. Main shock ho gaya lekin phir usne mujhse khudne kaha aur maine friendship accept kar li.

saving score / loading statistics ...